Hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
Karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur
[ gumaaN = doubt/suspicion ]
Yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
De aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur
Abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
Hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur
[ abroo = eyebrow, paiband = patch ]
Tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
Le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaaN aur
Harchand subak_dast hue but_shikanee meiN
Ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur
[ subak_dast (or sabuk_dast both are correct) = expert,
but_shikanee = iconoclast, sang = stone, giraaN = heavy ]
Hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
Hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur
[ deeda = eye, KHooNnaaba = mixture of blood and water,
{KHooNnaaba = KHooN (= blood) + aab (= water)}, fishaaN = shed
/spread, KHooNnaaba_fishaaN = to sheds tears of blood ]
Marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay
Jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'
[ jallaad = executioner ]
LogoN ko hai KHursheed-e-jahaaN taab ka dhoka
Har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur
[ Khursheed = sun, taab = power/courage, nihaaN = hidden ]
Leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn
Karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur
[ fuGHaaN = clamour ]
Paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
Ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur
[ naale = lamentation, tab'a = temperament ]
HaiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
Kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur
[ suKHanwar = poet ]
Friday, February 25, 2011
Yaarab ! wo na samjhe hain na samjhenge meree baat, De aur dil unko, jo na de mujhko zubaan aur
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment